Urdu Sad Poetry: Ghazal's
Showing posts with label Ghazal's. Show all posts
Showing posts with label Ghazal's. Show all posts

Friday, April 23, 2021

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

April 23, 2021 0
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi
Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya
Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain
Rangeen Fizain Ab Bhi Hain
We Bheege Bheege Pani Ki
Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain
Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun
Aur Dil Apna Sulgata Hun
Ab Tum Nahi Hote Sath Mere
Aur Hote Hain Khali Haath Mere
Pur Shor Sadain Poochti Hain
Wo Sard Hawain Poochti Hain
Wo Kahan Gaya Sathi Tera?
Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya?
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

Koi Hath Ha Mere Hath Mein

April 23, 2021 0
Koi Hath Ha Mere Hath Mein

Monday, April 12, 2021

Wo Husn o Mujasim Kamaal Uski Ankhen

April 12, 2021 0
Wo Husn o Mujasim Kamaal Uski Ankhen



Wo Husn o Mujasim Kamaal Uski Ankhen







Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen
Sarapa muhabbat Jamaal uski ankhen

Jhuken to lagti hain zevar haya ka
Uthen to Karen phir sawal uski ankhen

Milen to mai dono jahan dekar lelon
Wo chehra wo zulfen wo gaal uski ankhen

Agar koi poche ke dunya mai Kya hai
Dewana kahega misaal uski ankhen

In ankhon ke kajal mai dooba hon shayad
Ajab phir chali hain ye chaal uski ankhen

Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai Wo khuwab mein bhi na mil saky ga

April 12, 2021 0
Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai Wo khuwab mein bhi na mil saky ga

Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai
Wo khuwab mein bhi na mil saky ga

Khabar nahi thi kisi bhi rutt mein bhi
Ye phool dil ka na khil saky ga

Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam

Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam

Ye mein ne socha kabhi nahi tha
Ke sochne ki saza mily gi

Muhabbaton ki praayi, baarishon mein
Bheegne ki saza mily gi

Badal geya hai qareeb aa ke
Khuwahishon mein nahaya mousam

Thursday, February 6, 2014

Umer Raaigaan Kardi...

February 06, 2014 0
Umer Raaigaan Kardi...
Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai

Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna
Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai

Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah
Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai

Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai

Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga...

February 06, 2014 0
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga...
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Meri tanhai barhate hain...

February 06, 2014 0
Meri tanhai barhate hain...
Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,

Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,

Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,

Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,

Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain..

Abbas Tabish