Urdu Sad Poetry: Anwar Masood
Showing posts with label Anwar Masood. Show all posts
Showing posts with label Anwar Masood. Show all posts

Thursday, February 6, 2014

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera...

February 06, 2014 0
Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera...
Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,

Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,

Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,

Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera,

Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..

(dandaan;artificial teeth)(garebaan;collars)

Shair logon ke bohat yaad hain...

February 06, 2014 0
Shair logon ke bohat yaad hain...

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota...

February 06, 2014 0
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota...
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,

Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,

Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,

Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,

Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,

Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..!

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye...

February 06, 2014 0
Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye...
Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,

Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,

Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,

Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,

Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..

(khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)